Website Se Paise Kaise Kamayein ?

Website Se Paise Kaise Kamaye

Website Se Paise Kaise Kamayein ?
Website Se Paise Kaise Kamayein ?

Earnings:

Internet par bahut se aesi companies hai jo apne products and services ka promotion karne ke liye website owner or bloggers ko commission deti hai. Ye hume 2 taike se paisa deti hai.

  1. Pay Per Click (PPC): Yani jab koi humari website se advertiser ki site par visit karta hai to hume kuch commission leta hai. ye commission advertiser ki tay ki gayi rate par depend karta hai.
  2. Pay Per Sell (PPS): Iske anusar jab koi user aapki site ke through advertiser ki site par ja kar unka koi product ya service buy karta hai to aapko uski price ka kuch percent commission milta hai. Yani iske anusar sirf product sell hone par earning hogi.

Isi wajah se in dono type ki companies yani advertiser ( Jo hume ad privde karte hai) ko hum 2 category me bant lete hai. 1. Advertising and 2. Affiliate Market

A. Advertising Ads:

Ye PPC yani pay per click kar kaam karti hai or ads dekhne ya ad par click karne ke paise deti hai. But iske liye hume har ek company se bat karne ki jarurat nahi hai. Internet par kuch aesi service available hai to bahut sari companies se deal kar hume sabhi companies ke ads provide karti hai.

Jinme se kuch top service providers is parkar hai.

  • Google Adsense
  • Media.net
  • Adnow
  • Chitika
  • Bidvertiser

But in sab me google adsense sabse better hai kyuki ye dusre sabhi advertising program se jyada truest or jyada commission dene wala ad network hai. Google ko advertiser jo bhi commission dete hai wo usme se 68% apne publisher yani hume de deta hai or baki apne pas rakhta hai.

Aapko bas iske liye ek bar registration karna hoga uske bad adsense se aapko ad code milega jo aapko apni site par lagana hai. Uske bad aapki site par aapke content se related company ke ad show honge or jab koi un par click karega to aapki earning hogi.

But first aap advertising program ke bare me achhe se jan le like iski terms kya hai,

Get Adsense on your website By Fragron Infotech
Get Adsense on your website By Fragron Infotech

B. Affiliate Marketing

Affiliate program PPS yani pay per sell par work karta hia or jab koi humari site ke through inki site par ja kar koi product buy karta hai to hume uska kuch commission milta hai. Ye commission 5% se lekar 20% ya isse bhi jyada ho sakta hai.

Iska sabse achha fayda ye hai ki aapko kisi or ko commission dene ki jarurat nahi hogi. For example, aap adsense use karoge to aapko sirf 68% hi milega or baki google apne pas rakhega but affiliate market me aapko milne wale commission ka 100% aapko hi milega. Isiliye isse aap jyada earning kar sakte ho.

Agar aap soch rahe hai ki aapke visitors advertiser ki site par kyo jayenge or unke product kyo buy karenge to main aapko bta du ki aap apni site me advertiser ke diye gaye banner, images, display and text ads ko apni site me add karoge.

Ye ads bilkul aapke content se matched honge or users apne interest se hi in par click karenge. Aap chahe to affiliate program products par article likh kar apne visitors ko uske bare me bta sakte ho.

How To Apply for Registration.
Business Start karne ke Liye Konsa Registration Karein ?

Conclusion,

Ye the website bana kar online paise kamane ke 5 simple steps, I sure in tariko ko follow karke koi bhi person online internet se paise kama sakta hai. Iske liye aapko kisi bhi tarah ki koi degree ki jarurat nahi hogi bas aap jis topic par likhoge uske bare me aapko achhi jankari honi chahiye taki aap dusro se behtar kar sako or apni site par visit karne ke liye logo ko attract kar sako.